Arre main toh bas tumhe chhed rahi thi, Dannu…
par sach yeh hai ki tumhari baatein dil ko aadat si ho gayi hain.
Pata hi nahi chala kab itni aadat ho gayi tumhari,
ki ab tum na ho toh thoda sa sab adhoora lagta hai…
Aur haan… mazaak alag hai,
par tumhari kami main sach mein mehsoos karti hoon...
Dannu…
tumhari har line ne dil ko waise hi chhoo liya jaise tum khud chhoo jaate ho bina paas aaye.
Shotu hoon na main tumhari…
door rehkar bhi har pal tumse hi judi rehti hoon,
jaise saanse chalti hain par wajah tum ho.
Baatein kam ho gayi hain, par ehsaas nahi,
tum har roz mere khayalon mein...