DevilishPrince
Reaction score
189

Profile posts Latest activity Postings About

  • sahi kaha apney jo raahi mazil badal dey wo raahi he nahi, jahan sujh bhuj ki bath agaye wahan mohabbat nahi jism aur ankhon ka saudha hotha hi, aur safar kaha se shuru hua ye maainey kaisey hosaktha hi, ap anjaam dekha kriye ke mohabbat ki kis hadh tak chal kr usney unko paya hi..
    jahan ho mohabbat wahan aksar zakham aur dard hothe he hi, yadon se tanhaiyan kaati ja sakthi hi mgr zindagi nahi, wo raahi he kya kiya jo khauf e dard se manzil badal dey, wo ishq he kya jo zakham aur kuch pal ki tanhiyan ki tapish se na ho guzrey..
    pyaar ka naam sun kr ab hansi se a rahi hi, logon ne badnaam kr diya hi pyaar ko awargi se jod kr, ke nibha sakthe ho sacchi mohabbat tho kabi is gali zaroor ana, ap farsh ki jagah hamari palkon ko paogey ye zarror yaad rakhna..
    " ke badey he khuddar hi wo, janey un per kaunsi khamoshi hi chaiye, aksar tho bathon se izhar krdiya krthe the wo, per lagtha hi unhey duniya samjah agaye aur darad khud he mein sameyt na samajh gaye wo"
    Sahi kaha apney Dil se Devil tak ka safar humney nahi chuna hi, zalimon ne majboor kr diya ke kanton bhari nighaon se dekh kr humey b us jaisa khokla kr diya hi, zehmath hi abhi b ke kuch acchaiyan baki hi, hun tho insaan he akhir dil abhi b dhadaktha hi mujh mein,..
    Dekha dil ki bathein shuru bhi nahi ki humney aur ap ghabra b gaye, ye kasoor apka ka nahi dil ka hi, kyun ye duniya dil walon se kum aur Bill walon se zayda mutassir hogaye hi>>>Ap han tho bharey hum Bill ki jagah Dil bicha denge, koi mujjasama na hoga ap aur mujh jaisa, fir se wahi heer aur ranjha banjaenge
    unki khamoshi 100 sawal kr krthi hi, janey kyun wo gumsum gumsum se rehney lagi hi, koi wajah tho izhar kr deyna, suna hi dil mein chupey raaz aksar qayamat lathi
    aise kaise ho saktha hi ke ap ussey beypanah mohabbat b krthe ho aur ussey kehney se darthe be ho, suna hi mohabbat tho kanton ke bharey daman ko b gulshan e bahar banadeythi hi..
    suna hi dil ke darwaze per unhoney tala laga diya hi, ke kahin galathi se mohabbat na hojaye, koi unhey ja kr samjhaein, ke tala apney dil per laganey se mohabbat ko roka nahi jatha, jaise sailab aney per kinara usey rok nahi saktha..
    ZARA dekho tho sahi kaun aya hi, aji huzur kya hawein apni sang mehek laye hi, ya fizaein ulfath e bahar laye hi, inka tho koi bharosa nahi mgr zara gaur farmaiye Maikhaney e shabab khud chal kr aye hi...
    Mehfil e Roshan Saji hi, fir bhi kisi ki kyun Kami lag rahi hi, wo ho tho b kya farq hi, jo samajh na sakein ulfath e mohabbat kis ka naam hi, Hmm, Khair humey unsey koi gila ya shikwa nahi, ho saktha hi ki shayad unhoney kabi un nazron se humey dekha he nahi..
    Dil aksar kyun Zuban ka sath nahi deytha, kehna hi jo kuch wo kambaqt kyun nahi kehney deytha, hai tujhe kis bath ka dar aye mere Dil kuch tho batha, Yun khud he khud mein tu na bathein kiya kr..
    Wo aye mausam e bahar ley kr, janey kithni khusbein sath laiye wo ulfathon ka jahan ley kr, Unki ulfat se he tho jahan mera ye roshan hi, humse dur na jana, kisi ki muskurahat he hamarey gahr ka chiragh roshan hi...
    ke wo har roz ek naya chehra banathe hi, humey galath sabit krney ke liye kya kya azmaishein krthi hi, agr unhey nahi hum per aithbar tho kya he ghum hi, jo dhoka b dil khol ke dey na saka wo kya he mohabbat ke layak hi
    Meri seerat unke liye mazak bangaye, jo har lamha bahaney dhundthe the bathein krney ke liye wo ajh tanhaiyon aur faslon ki dewaar bangaye, koi ja kr bathein unhey yaar, ke wo koi haseen dastan se kum nahi mere liye, unki har raah per apney hathon ki lakir seenchi hi maniney..
    Agr Dil tumhara Sheesh Mehal hi tho isey gairon ke hawaley kyun kiya krthe ho, kya khabar nahi tumhey yahan ke logon aur unki fitrathon ki, lagtha hi mere dost TUM b meri tarha yahan INSANNON ki talash mein aye ho...
    Kisi ne guman kiya ke " Tum sab logon ke sath aise he bath kiya krthe ho jaise humse krthe ho, humney kaha bilkul, hum aise he bath krthe hi jaise apse kiya krthe hi, Mgr har kisi ka hum is kadar intezar nahi krthe hi jaise hum apka deedar ka krthe hi" :rolleyes:
    Ke dil ki basti mein dilwalon se hara hua hun main,
    chaha tha jisko beypanah usi ki nafrat ka muqqadar bana diya gaya hun main,
    wo dilkash hi bahuth ismein koi gumaan na kr, kehthe hi unki hansi katil hi bahuth,
    shayad isi liye kabi humney unko muskurathe huye na dekha"
  • Loading…
  • Loading…
  • Loading…
Back
Top