DevilishPrince
Reaction score
175

Profile posts Latest activity Postings About

  • Ek umar kharch ki hi humney pyaar ko samajhney mein, jab samjhney lagey pyaar ko mila na koi aisa yaar meri raah e safar mein, aye o Noor e Aftab mujhe tu azmaley ishq ki kasauti pe, wada raha tere pyar mein jal kr b ufff tak na krenge..
    har koi kahey prem prem, mgr prem ka koi matlab na samjhe, samjha jo prem ko wo log miley nahi is duniye mein, kismat ka b ajeeb khel hi, heer ko Ranjha se milney na diya, aur jismfrosh ki khawaish krney walon ko prem ka fun atha kr diya.
    DevilishPrince
    DevilishPrince
    har koi kahey prem prem kehtha, mgr prem ka koi matlab na samjhe, samjha jo prem ko wo mila na koi is raah e safar mein, kismat ka b ajeeb khel hi, heer ko Ranjha se milney na diya, aur jismfrosh ki khawaish krney walon ko pyar ka fun atha kr diya.
    ke hath apney seeney per rakh ke dekho zara, sansein jo cahl rahi hi kya keh rahi hi ye suno tho zara, dheemi si awaaz mein wo yun bahuth kuch keh rahey hi, kabi waqt miley tho apney hoton per muskan saja kr khud ko pyaar karo zara sa..
    Armanon ka koi silsila machal raha hi is dil Mein, jaise koi kafila bhatak raha ho manzil ki talash mein.
    Lehaaz e jazbat aur rasmon rewaaz kyun kr raha aye dil.
    Ishq ki raah Mein kyun fir chal raha hi dil, khabar nahi tumhey ke yahi the hamare qatil. Part-1
    Sanjood ke rang jo bharey the sapnon Mainey, bikhar gaye sab hua na kuch mujhe hasil...
    Hai chada fithoor dil mein fir ek bar rangon se sapney sajaney ka... Ae dil fikar na kar tu is bar tootney ka, kyun ke main samjhney laga hun tamasha e mehfil ka.. Part-2
    ke meri ashaar b badey ajeeb hi, Korey kagaz per sab kuch keh jathe hi, mgr zuban se uff tak nahi kehthe hi, ye muntazir b unhi se hothe hi, jo dil ke jazbat ki kadar krthe hi ..
    Takleef hothi tho sehjathe, narazgi hothi tho pee jathe, ye tho ajh ke ishq ke tarike ne humey maar dala hi, haath hamrey bandhe huye hi mohabbat ki door se, aur mohabbat krney wala muskurathe huye zulm kr rahey hi..
    sahi kaha apney jo raahi mazil badal dey wo raahi he nahi, jahan sujh bhuj ki bath agaye wahan mohabbat nahi jism aur ankhon ka saudha hotha hi, aur safar kaha se shuru hua ye maainey kaisey hosaktha hi, ap anjaam dekha kriye ke mohabbat ki kis hadh tak chal kr usney unko paya hi..
    jahan ho mohabbat wahan aksar zakham aur dard hothe he hi, yadon se tanhaiyan kaati ja sakthi hi mgr zindagi nahi, wo raahi he kya kiya jo khauf e dard se manzil badal dey, wo ishq he kya jo zakham aur kuch pal ki tanhiyan ki tapish se na ho guzrey..
    pyaar ka naam sun kr ab hansi se a rahi hi, logon ne badnaam kr diya hi pyaar ko awargi se jod kr, ke nibha sakthe ho sacchi mohabbat tho kabi is gali zaroor ana, ap farsh ki jagah hamari palkon ko paogey ye zarror yaad rakhna..
    " ke badey he khuddar hi wo, janey un per kaunsi khamoshi hi chaiye, aksar tho bathon se izhar krdiya krthe the wo, per lagtha hi unhey duniya samjah agaye aur darad khud he mein sameyt na samajh gaye wo"
    Sahi kaha apney Dil se Devil tak ka safar humney nahi chuna hi, zalimon ne majboor kr diya ke kanton bhari nighaon se dekh kr humey b us jaisa khokla kr diya hi, zehmath hi abhi b ke kuch acchaiyan baki hi, hun tho insaan he akhir dil abhi b dhadaktha hi mujh mein,..
    Dekha dil ki bathein shuru bhi nahi ki humney aur ap ghabra b gaye, ye kasoor apka ka nahi dil ka hi, kyun ye duniya dil walon se kum aur Bill walon se zayda mutassir hogaye hi>>>Ap han tho bharey hum Bill ki jagah Dil bicha denge, koi mujjasama na hoga ap aur mujh jaisa, fir se wahi heer aur ranjha banjaenge
    unki khamoshi 100 sawal kr krthi hi, janey kyun wo gumsum gumsum se rehney lagi hi, koi wajah tho izhar kr deyna, suna hi dil mein chupey raaz aksar qayamat lathi
    aise kaise ho saktha hi ke ap ussey beypanah mohabbat b krthe ho aur ussey kehney se darthe be ho, suna hi mohabbat tho kanton ke bharey daman ko b gulshan e bahar banadeythi hi..
    suna hi dil ke darwaze per unhoney tala laga diya hi, ke kahin galathi se mohabbat na hojaye, koi unhey ja kr samjhaein, ke tala apney dil per laganey se mohabbat ko roka nahi jatha, jaise sailab aney per kinara usey rok nahi saktha..
    ZARA dekho tho sahi kaun aya hi, aji huzur kya hawein apni sang mehek laye hi, ya fizaein ulfath e bahar laye hi, inka tho koi bharosa nahi mgr zara gaur farmaiye Maikhaney e shabab khud chal kr aye hi...
  • Loading…
  • Loading…
  • Loading…
Back
Top